Vastu shastra sleeping direction

[vc_column_text]इस पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें सोते समय सिर की दिशा, Vastu tips for bedroom, किस दिशा में सोने से आते है बुरे सपने?, कपल्स के लिए सोने के लिए बेस्ट डायरेक्शन [vc_column_text]Sona yani neend lena hamari body ki ek jaruri kriya hai. Jaise body ko khane ki jarurat hoti hai vese hi sone ki bhi hoti hai lekin vastushastra ke anusaar galat tarike se sone se na sirf aapki health bigadti hai balki aapko negativity, badluck jaisi aur bhi kai tarah ki samsyae gher leti hai.
Hum aapko batayenge ki vastu ke anusaar sone ka sahi tarika kya hai aur kis direction me sona chahiye. [vc_custom_heading text=”sleeping direction as per vastu shastra” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_custom_heading text=”1) Dakshin disha ki taraf sir karke sona achha” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Sote time dakshin disha (South) ki taraf sir karke sona achha rahta hai. Jab aap dakshin ki side sir karke sote hai to aapke per uttar disha (North) ki side honge, to sote samay isi tarah se per or sir ki side honi chahiye. Esa karne se aapki umar(age) badhti hai, aapki health se judi problems thik ho jaati hai or body humesha fit rahti hai. Aapka blood circulation bhi thik rahta hai. [vc_custom_heading text=”2) Uttar disha me sir kar ke sone se nuksaan” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu ke anusaar dashin disha ke opposite uttar disha me sir kar ke sona bilkul thik nahi hota hai. Is se bure sapne bhi aate hai. Pruthvi me ek chumbkiya shakti ( megnatic energy) hoti hai. Dakshin se uttar disha ki taraf ye chumbkiya shakti bahti hai. Agar hum dakshin ki side sir kar ke sote hai to ye energy humare sir se pravesh kar ke pairo se bahar nikal jati hai. Jis se hum body me tazgi or furti feel karte hai. [vc_custom_heading text=”3) Purva disha ki side sir karke sona bhi faydemand” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Aap purva disha (East) ki side sir karke bhi so sakte hai, kyonki surya ko hum devta maante hai or surya ke bina jeevan sambhav nahi hai isliye surya nikalne ki disha yani purva ki or per karke sona kharab mana gaya hai jabki purva ki tarf sir rakhna achha hota hai. [vc_custom_heading text=”4) Pashchim disha me na sir kar ke soye na pair” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu ke anusaar agar aap pashchim disha (West) me sir kar ke sote hai to aapki tabiyat thik nahi rahti hai or bure vichaar aate hai, neend bhi thik se nahi aa paati. Agar koi pashchim ki or pair kar ke sota hai to vo maansik roop se bimaar rahta hai. [vc_custom_heading text=”5) Bayi(left) side karvat karke sona behtar” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Bayi side karvat karke sona bahut laabhkari hota hai. Humari naak se jo saans bahar nikalti hai or andar aati hai use swar kaha jata hai. Naak ke baye ched se saans lene or chodne ki kriya ko chandra swar kahte hai, isi tarah daayi or ka surya swar hota hai. Surya swar hamari body mai garmi or energy paida karta hai. Is se hamara khana bhi jaldi pach jata hai. Isliye bayi tarf karvat karke sona achha mana gaya hai. [vc_custom_heading text=”6) Bed ke beech me koi electronic chiz nahi” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Aapke bed ke beech me koi pankha, lamp ya or koi electronic chiz nahi rakhi honi chahiye. warna aapki health kharab hoti hai. [vc_custom_heading text=”7) Ghadi left ya right side lagaye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghadi (watch) ko humesha bed ke daayi ya baayi tarf lagana hi achha hota hai. Kabhi bhi ghadi ko bed ke piche ya sir ke niche rakh ke nahi sona chahiye. Ghadi ko bed ke samne bhi nahi lagana chahiye varna aap hamesha tension me rahenge or man ashant rahega. [vc_custom_heading text=”8) Bedroom me konsi photos na lagaye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Apne bedroom me mandiro ki ya apne purvajo ki tasvire nahi rakhni chahiye. Iske alava bedroom me yudh wale, daravne or khatarnak jaanvaro ke chitra lagana bhi ashubh rahta hai. Room me simple or sundar se chitra lagana shubh hota hai. [vc_custom_heading text=”9) Bedroom me gulabi light” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Bedroom me halke gulabi rang ki light lagi honi chahiye. Jis se aapas ke matbhed door hote hai or pyaar bana rahta hai. [vc_custom_heading text=”10) Simple design ki bedsheet” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Apne bed par simple design ki bedsheet bichaye. Bahut zyada rang birangi or design wali bedsheet bichana achha nahi mana jata hai. [vc_custom_heading text=”11) Sandhya ke samay na soye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Kabhi bhi sandhya ke samay nahi sona chahiye kyonki ye godhuli ka samay hota hai or is time pooja paath karte hai, to ese samay par sona ashubh hota hai. [vc_column_text]Ye vastu tips follow kijiye to aapki health or aapka luck dono hi achha rahega.

ये भी पढ़े   घर के मुहूर्त के लिए फेंगशुई टिप्स
 
Next Post
gp
मकान वास्तु

गृह प्रवेश के लिए वास्तु टिप्स