[vc_column_text]बेडरूम से जुडे वास्तु टिप्स को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें कप्बोर्ड फॉर बैडरूम – Cupboard For Bedroom , Attached Bathroom In Bedroom , Horse Painting In Bedroom, Sleeping Direction [vc_column_text]Choti Choti chije bhi hamara bhagya badal sakti hai, aapne aksar logo ko baat karte hue suna hoga ki ghar ka vastu bhi hamari kismat badal deta hai. Bahut se logo ko dekha bhi hoga, jin ke ghar me har chiz apni sahi jagh pr hoti hai.
Kuch log jyada paise wale hote hai, kuch log bahut zyada khush dikhayi dete hai. Kya aapne kabhi socha hai ye log esa kya karte hai? Ham me se kuch log in baato par dhyan nahi dete hai.
Jisse gharo me ladai, paiso ki kami, dukh se bhara din hota hai. Kabhi kabhi ghar me chote chote badlaav bhi kismat badal dete hai.
Hamare ghar me bedroom ko bhi vastu shastra ke anusaar hona jaruri hai.Ghar me vastu sahi nahi hone se ghar me bahut si pareshaniya aa jati hai. [vc_custom_heading text=”vastu tips for bedroom” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Chaliye jante hai, vastu ke anusaar Bedroom kese hona chahiye. [vc_custom_heading text=”Disha ka sahi hona” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ke nirmaan ke smay hi ye nirdharit kar lena chahiye ki aapka Bedroom konsi disha me hona chahiye. Vastu shastra ke anusaar Bedroom dakshin- Pashchim me hona chahiye.
Isse ghar ke logo ki health par achha prabhav padt hai, sath hi saath ghar me samridhi aati hai. Vastu shastra me bataya gaya hai ki Bedroom Uttar-purva ya dkshin- purva me nahi hona chahiye.
Isse ghar par galat prabhav pad sakta hai. Ghar me ladai badh sakti hai, saath hi saath health par bhi kharab prabhav pad sakta hai. Bachho ke liye bedroom utttar-pashchim me hona chahiye. [vc_custom_heading text=”Bed ki disha ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu shastra ke anusaar bedroom me bed ka sirhana (yani jab aap soye to aapka sir) purva ya dkshin disha ki or hona chahiye.
Guest room me bed ka sirhana Pashchim ki taraf hona jaruri hai.Vastu shastra me bataya gaya hai ki bed lakdi ka hona achha mana jata hai.Dhatu ka bed nakaratmak prabhav peda karta hai. [vc_custom_heading text=”Dressing table ka kaanch – vastu tips for dressing table in bedroom in hindi” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Bedroom me yadi aapke dressing table hai to is baat ka hamesha dhyan rakhe ki dressing table ka kaanch bed ke saamne na ho, kyunki vastu Shastra me bataya gaya hai ki yadi sote hue ki parchayi kaanch me dikhti hai to yah ashubh hoti hota hai. [vc_custom_heading text=”Bijli (light) ke upkaran na ho” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu shastra me bataya gaya hai ki bedroom me kisi bhi prakar ka bijli se chalne vala upkara na ho.Aksar gharo me bedroom me TV lagi hoti hai, parantu vastu ke anusaar tv ka bhi bedroom me nahi hona chahiye.
Yadi aapko tv apne bedroom me lagani hai to aap tv ko uchit duri par laga sakte hai. Vastu me tv ka isliye mana kiya gay hai kyunki tv bhi kaanch ki boti hai, jisse sote hue ki parchayi kaanch me dikhayi deti hai.
Kamre me computer, mobile phone jaise upkaran nahi hone chahiye kyonki isse nikalne vali radience kirne hamare liye haani karak hai. [vc_custom_heading text=”Bedroom ka rang – vastu tips for bedroom colour in hindi” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu me bataya gaya hai ki rang hamari duniya ko rangeen hi nahi banata balki ye humari jindagi me khushiya bhi lata hai.
Rang hamare mood, health or khushiyo ko bhi prabhavit karta hai. Vastu shastra ke anusaar bedroom ka rang baby pink, cream rang ya off white hona chahiye.
Dhyan rahe bedroom me gahre rang ka istemaal bilkul na kare. Kamra hamesha saaf rahna jaruri hai. [vc_custom_heading text=”Kharab chize na ho” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu shastra ke anusaar bataya gaya hai, ki yadi aapke bedroom me kisi bhi prakar ka kharab samaan ya band samaan pada ho to use hata de jaise band ghadi, mobile, tuti painting, machine aadi. Yah chije positive energy ko ghar me aane se rokti hai. [vc_custom_heading text=”Mahakta hua Bedroom – vastu tips for bedroom decoration” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Khushbu ki mahak sabhi ko pasand hai, kyunki Khushbu mood ko achha kar deti hai. Vastu me bataya gaya hai ki bedroom hamesha Khushbu se bhara rahe.
Bedroom me aap mombattiya, perfume rakh sakte hai. Bedroom me mahak ke liye chameli ya lavender kaam me le.