Ese ghar parivaar ki sukh shanti me rukaavat dalte hai. Vastu ke anusaar dakshin disha ke swami yam hote hai.
Is disha me ghar hone se aapke samne paiso ke sankat khade hone lagate isliye bahut baar ese makano ko saste daamo me hi bech diya jata hai.
Agar aapka ghar bhi south facing hai to aapko tension lene ki jarurat nahi hai, kyonki vastu ke kuch saral upaay apnaakar aap apne ghar ko dosh se mukt kar sakte hai.
Aaiye jante hai ki south facing house hone par konse upaay kare.
vastu remedies for south facing house
Dakshin mukhi ghar mein water tank ki jagah
or saath hi ghar ke boundary wall se sata kar septic tank uttar ya poorv disha me hi banvaye. Esa karane se dakshin ka vaastu dosh khatm ho jaata hai.
Agar dakshin mukhi plot ya ghar ka septic tank ishaan kon mein ho to vah bahut ashubh hoga.
Vaise koshish kare ki kisi bhi disha vaale gharon mein ishaan kon par kuchh na banvaye. Is par sirf devasthaan ban sakta hai.
Makan ya plot ke samne khali jagah ho
Ghar ke main door pe hanumaan ji ki photo lagaye
Paani uttar disha se hokar bahar pravaahit ho to dhan laabh
Ghar ka dakshin bhaag uncha banvaiye
Dakshin mukhi ghar ke aas paas jyada ped na ho
Main gate ke samne bhi adhik bada ped nahin hona chahiye kyonki yah ghar par aane vaale hava aur prakaash ko rokta hai.
Gate ke thik samane ek bada sa aaina lagaye
Is se ghar mein aane vaale vyakti ke saath ghar mein aane vaali negative energy palatakar vapas chali jaati hai.
Ghar jameen se 1 se 2 foot uncha banvaiye
Dhyaan rakhen bhavan ka farsh ya jameen kahin se bhi ubad-khabad ya tedhi-medhi na ho.
Safayi ke lie thoda dhaal dena chahen to uttar, poorv disha ya ishaan kon ki or hi de. Vahin plot ke khule bhaag ka dhaal bhi isi or hona chahiye.
Main gate ko ek tihayi bhaag chhodkar banvaye - south entrance vastu
Vastu dosh door karne ke liye laal rang ka use
Iske saath hi dakshin disha ki or laal rang ka bulb lagaiye, or use roj shaam ke samay niyam se jalaiye. Dakshin bhaag mein laal rang ke khushbu wale fulo ke podhe lagaye.