south-facing-home-astu-shastra

Vastu remedies for south facing house

[vc_column_text]इस पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें दक्षिण मुखी घर का वास्तु, दक्षिण मुखी घर- सेप्टिक टैंक कहाँ बनाये ,  वास्तु के अनुसार सेप्टिक टैंक , वास्तु शास्त्र के अनुसार घर का नक्शा [vc_column_text]Esa mana jata hai ki south facing house yani dakshin mukhi ghar shubh nahi hota hai kyonki ye varjit disha maani gayi hai.
Ese ghar parivaar ki sukh shanti me rukaavat dalte hai. Vastu ke anusaar dakshin disha ke swami yam hote hai.
Is disha me ghar hone se aapke samne paiso ke sankat khade hone lagate isliye bahut baar ese makano ko saste daamo me hi bech diya jata hai.
Agar aapka ghar bhi south facing hai to aapko tension lene ki jarurat nahi hai, kyonki vastu ke kuch saral upaay apnaakar aap apne ghar ko dosh se mukt kar sakte hai.
Aaiye jante hai ki south facing house hone par konse upaay kare. [vc_custom_heading text=”vastu remedies for south facing house” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_custom_heading text=”Dakshin mukhi ghar mein water tank ki jagah” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dakshin mukhi ghar mein under water source yani fresh water tank, boring ya kuaan uttar disha, uttar ishaan ya poorv disha ke beech hona chahiye.
or saath hi ghar ke boundary wall se sata kar septic tank uttar ya poorv disha me hi banvaye. Esa karane se dakshin ka vaastu dosh khatm ho jaata hai.
Agar dakshin mukhi plot ya ghar ka septic tank ishaan kon mein ho to vah bahut ashubh hoga.
Vaise koshish kare ki kisi bhi disha vaale gharon mein ishaan kon par kuchh na banvaye. Is par sirf devasthaan ban sakta hai. [vc_custom_heading text=”Makan ya plot ke samne khali jagah ho” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Jab bhi aap dakshin mukhi plot le to pahle ye jarur dekh le ki uske saamne  khali jagah ho. Ya agar ghar le rahe hai to ghar ke samane kuch jagah khali  honi chahiye. Ye baate vastu dosh ko kam karti hai. [vc_custom_heading text=”Ghar ke main door pe hanumaan ji ki photo lagaye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Agar aapka dakshin mukhi ghar ho to ghar ke main door par panchamukhee hanumaan ji ki photo lagaye. Is se aapke ghar me unki krupa bni rahegi or ghar ka vastu dosh bhi khatm hoga. [vc_custom_heading text=”Paani uttar disha se hokar bahar pravaahit ho to dhan laabh ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Agar kisi ka dakshin mukhi ghar hai or usme paani uttar disha se hokar bahar ki or pravaahit ho to dhan laabh hota hai. Aise ghar mein rahne vaali striyon ka swasthya thik rahta hai [vc_custom_heading text=”Ghar ka dakshin bhaag uncha banvaiye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Agar aap dakshin mukhi plot par ghar bana rahe hai to dhyaan rakhiye ki dakshin bhaag uncha hona chahiye. Esa karne se us ghar me rahane vaale svasth or sukhi rahenge. [vc_custom_heading text=”Dakshin mukhi ghar ke aas paas jyada ped na ho” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dakshin mukhi ghar ke aas paas bahut jyada bade ped nahi hone chahiye.
Main gate ke samne bhi adhik bada ped nahin hona chahiye kyonki yah ghar par aane vaale hava aur prakaash ko rokta hai. [vc_custom_heading text=”Gate ke thik samane ek bada sa aaina lagaye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dakshin mukhi gate ke thik samane ek aadmi jitna uncha aaina is prakaar lagaen jis se ghar me aane vaale vyakti ki poori parchayi darpan mein bane.
Is se ghar mein aane vaale vyakti ke saath ghar mein aane vaali negative energy palatakar vapas chali jaati hai. [vc_custom_heading text=”Ghar jameen se 1 se 2 foot uncha banvaiye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Jab bhi aapko dakshin mukhi ghar banvana ho to ghar ko jameen se lagbhag 1 se 2 foot uncha kar ke banvaye. Is se dosh kam hoga.
Dhyaan rakhen bhavan ka farsh ya jameen kahin se bhi ubad-khabad ya tedhi-medhi na ho.
Safayi ke lie thoda dhaal dena chahen to uttar, poorv disha ya ishaan kon ki or hi de. Vahin plot ke khule bhaag ka dhaal bhi isi or hona chahiye. [vc_custom_heading text=”Main gate ko ek tihayi bhaag chhodkar banvaye – south entrance vastu” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Agar aap ghar banava rahe hai or uske bhavan ka main gate dakshin disha ke alava dusri disha mein nahin ho sakata hai to vastu dosh ko door karane ke liye ghar banvaye tab dakshin poorv se ek tihayi (one third) bhaag chhodkar main gate banvaiye. [vc_custom_heading text=”Vastu dosh door karne ke liye laal rang ka use” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dakshin mukhi ghar hai to uske dakshini bhaag ki divaron par laal rang ka paint karvana shubh hota hai.
Iske saath hi dakshin disha ki or laal rang ka bulb lagaiye, or use roj shaam ke samay niyam se jalaiye. Dakshin bhaag mein laal rang ke khushbu wale fulo ke podhe lagaye.

ये भी पढ़े   वास्तु के अनुसार बोरिंग कहाँ होना चाहिए
Previous Post
तुलसी का पौधा कहां लगाएं, तुलसी का पौधा कब लगाएं
पौधे

वास्तु के अनुसार तुलसी का पौधा किस दिशा में लगाना चाहिए?

Next Post
vastu-tips-for-swimming-pool
मकान वास्तु

स्विमिंग पूल से संबंधित वस्तु टिप्स – swimming pool for home vaastu tips