[vc_column_text]Vastu ke liye uttar disha 337.5-degree se 22.5-degree ke bich sthit hoti hai. Uttar disha ka grah-nakshatra ke anusar swami grah buddh aur dikpal tatha bhallad aur som mane jaate hain. Uttar disha samanyata vayavya tatha isshan disha ke madhya sthit hota hai.
Grah nakshatra ke vigyan ke anusar buddh grah ke atirikt chandrama aur brihaspati bhi is disha mein apna prabhav dalte hain.
Shastron ke anusar budh grah ko buddhimatta vak-shakti tatha vidvatta aadi ka pratik mana jata hai. Issi prakar brihaspati grah ko gyan, dhan aur bhagya ka karak mana jata hai.
Is ke atirikt chandrama grah ka sambandh mann ki vyavasthao tatha ghar ki sukh-shanti tatha shubh vahan vyavastha aadi ke liye sambandhit hota hai.
Buddh, chandrama tatha brihaspati teenon he grah sangathit roop se vibhinn prakar ke prabhav ko darshate hain. Yadi vastu shastra ke anusar ghar ka nirman na hua ho to ghar mein tatha jivan mein asantee, avasthaon tatha arajakta ka samrajya sthapit ho jata hai. [vc_custom_heading text=”Aaiye ab ham aapko vastu shastra ke hisab se nirmit uttar mukhi bhawan ke kuchh fayde batate hi-
” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]
- Uttar mukhi disha mein nivas karne wala vyakti ya parivar ke log apne padd tatha aatm samman ke prati adhik sanvedanshil hote hain.
- Yadi uttar mukhi ghar ka nirman vastu shastra ke niyamon ke hisab anusar kiya jata hai to ghar mein sukh-shanti, samriddhi tatha dhan evam swasthya ki prapti hoti hai.
- Uttar mukhi disha mein nivas karne wale vyaktiyon ko yah parivaron ko gair kanooni karya ya anaitik vyavastho ko pasand nahin karte hain.
- Uttar mukhi ghar ke shubh tatha asubh prabhav tatha parinaam ka ghar ki mahilaon per vishesh roop se prabhav padta hai.
[vc_custom_heading text=”Uttar mukhi ghar ki vastu shastra ke anusar sanrachna tatha uske labh-” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]
- Uttar mukhi ghar banate samay koshish karni chahie ki uttar disha wala hissa khula hona chahie isse ghar-grihasti mein dhan-dhanya ki vriddhi hoti hai.
- Uttar mukhi ghar ke dhalan ko uttar disha ki taraf ya fir uttar-purv arthat ishan disha ki taraf rakhna chahiye. Isse ghar ki striya swasth rahti hai hai evam unhen sukh tatha santosh ki prapti hoti hai.
- Uttar mukhi ghar mein uchaiyo evam chaudaiyo main uttar disha ki diwaron ko paschim evam dakshin disha ki apeksha kam rakhna chahie.
- Uttar mukhi ghar mein kitchen ya rasoi ka nirman uttar paschim (vayavya disha) mein ya fir dakshin-purv (agneya disha) mein karna chahie.
- Uttar mukhi ghar ka mandir arthat pavitra ya puja ka sthan ka nirman uttar-purv (ishan kon) mein karna chahie.
- Uttar mukhi ghar mein atithi kaksha ka nirman uttar-paschim mein kiya jana chahie.
- Uttar mukhi ghar ke nirman mein ghar ke mukhiya ka shayan kaksha arthat bed room dakshin-paschim (netratya kon) mein banaya jana chahie, isse ghar ke mukhya ke mansikta ko bal milta hai.
- Uttar mukhi ghar ke uttar disha mein dhalau baramde banvana chahie yah striyon ke liye labhdayak hota hai.
- Yadi uttar mukhi ghar mein under water tank banvane ki avashyakta ho to use hamesha uttar disha mein banvana chahie. Ise ghar ki vyavasthay shuddh bani rahti hain tatha yah arthik unnati ko badhane mein bhi sahayata karta hai.
[vc_custom_heading text=”Uttar mukhi ghar ke liye anuchit vastu dishay tatha uske parinaam-” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]
- Uttar mukhi ghar mein yadi bhukhand ka dhalan uttar disha se dakshin disha ki oor hota hai to yah vaha rahane wale parivar ke liye arthik hani tatha anavashyak sangharsh ka karan ban sakta hai.
- Uttar mukhi ghar mein uttar disha wale kisi hisse ko kat kar alag arthat separate nahin rakhna chahie. Kyunki is se dhan ki hani tatha mansik ashanti ki prapti hoti hai.
- Uttar mukhi ghar mein uttar disha mein kachre ke dher, anupyogi ya upyogi samano ka dher, mitti ke teele aadi nahin rakhne chahie.
- Uttar mukhi ghar mein mukhya ghar ka nirman uttar disha mein nahin karna chahie. Isko bade vastu dosh ke roop mein dekha jata hai.
- Uttar mukhi ghar mein uttar disha mein septic tank, shauchalay tatha bathroom aadi ka nirman nahin karna chahie kyunki yah ashubh tatha hanikarak hota hai.
- Uttar mukhi ghar ke uttar-purv mein sthit mukhya ka shayan kaksh mukhiya ko kamjor banata hai.
- Iss disha mein sone wale mukhya ki nirnay shakti kamjor hoti hai.
- Uttar mukhi ghar ke uttar disha mein boundary ki deewar se sata kar ghar ka nirman nahin karna chahie. Isse ghar ke mukhiya ke swamitva ke prabhav ko nuksan pahunchta hai.
- Uttar mukhi ghar mein uttar ya Uttar-purv disha mein heavy pillars ya moti beem aadi ka nirman nahin karna chahie. Kyunki ise se vastu dosh hota hai.
- Uttar mukhi ghar mein uttar disha ko yatha sambhav halka rakhne ka prayas karna chahie. Kyunki isase jyada labh tatha shubh samachar milane ke asar badh jaate hain.
[vc_column_text]Uttar mukhi ghar ke uchit ya anuchit vastu ka sabse jyada tatha gehra prabhav ghar ki mahilaon per padta hai. Ghar ki mahilaon ka sambandh dhan tatha arthik samridhi se hota hai.
Issiliye uttar disha mein kisi bhi prakar ka vastu dosh sarvpratham upar diye gaye vyakti vishesh tatha paristhitiyon ko vyapak roop se prabhavit karta hai.
Uttar mukhi ghar, ghar ki arthik sampannata tatha mahilaon ki sukh samridhi ke liye sarvottam mana jata hai.