उत्तर मुखी घर वास्तु योजना

Vastu dosh nivaran tips in hindi

[vc_column_text]इस पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें नींद उड़ने का कारण वास्तु दोष तो नहीं ?, रसोई के लिए वास्तु दोष मिटाने के उपाय, घर में झगड़ा होने के कारण है यह वास्तु दोष, नजर दोष से बचाव, वास्तु दोष के कारण आ रही है रुकावट ?, घर में भी तो नहीं है ये वास्तु दोष के लक्ष्ण ? [vc_column_text]Ghar me vastu dosh hone ki vajah se hame kai tarah ki problems ka samna karna pad sakta hai. Vastu dosh hone par negative energy felti hai or tarakki me bahut rukavat aati hai.
Aaj hum aapko batayenge ki ghar me kis type ke vastu dosh hote hai or unhe door karne ke tips bhi batayenge. [vc_custom_heading text=”ghar ka vastu dosh ke upay” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]

  1. Apne ghar ke uttar- purva kone me ek kalash rakhiye. Agar mitti se bana kalash rakhte hai to aur bhi achha rahega, lekin aapko dhyaan rakhna hoga ki kalash kabhi khandit na ho. Ye upaay karne se aapko dhan ka fayda hoga aur vastu dosh bhi jaldi hi door ho jayga.
  2. Ghar se vastu dosh ko door karne ke liye main gate par swastik ka sign jarur lagaye. Jisse ghar me koi bhi negative energy pravesh na kar sake. Chahe to sindoor se swastik ka sign banaye par iski lambai aur chodai 9 anguli jitni honi chahiye.
  3. Ghar me main gate ke dono side me Ashok ke ped lagaye. Esa karne se aapke ghar me sukh aur samrudhi aayegi aur vansh bhi badega.
  4. Apne ghar me tute fute bartan ya tuti hui khaat na rakhe, Isse vastu dosh hota hai aur dhan ki haani hoti hai.
  5. Roj niyam se aap ghar me bane mandir me ghee ka dipak lagaye jis se kisi bhi tarah ki negative energy aapke paas nahi aayegi aur sukh samrudhi ghar me rahegi.
  6. Ghode (horse) ki naal ko aapke ghar ke main gate par lagaye, jo apne aap giri ho. Is se vastu dosh bhi door hoga aur saath hi aapko paiso ki barkat bhi hogi.
  7. Jab bhi aap kisi factory/ karkhane ka udghatan kare to us samay jameen me khadda kar ke purva disha me chaandi (silver) ka sarp sthapit jarur kare taki aapka kaam accha chale aur aapko fayda ho.
  8. Ghar me paiso ki tijori esi jagah par rakhte jaha se tijori ka door purva disha se khulta ho, to aapki tijori me paiso ki barkat hamesha bani rahegi.
ये भी पढ़े   क्या है घर में शालिग्राम रखने के फायदे?

[vc_custom_heading text=”vastu ke hisab se ghar” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]

  1. Kamre me kabhi bhi sookhe hue fool na rakhe. Esa karne se aapko paiso ka nuksaan hota hai aur kismat bhi sookh jaati hai. Taaze ful rakhne se aap aapki kismat chamakti hai aur aapko tarakki milti hai.
  2. Ek bada sa gol aaina apne ghar ki chhat par is tarike se lagaye ki makaan ki puri chhaya usme dikhayi de. Is upaay se bhi vastu dosh door hota hai.
  3. Agar koi badi si kai manjilo wali building aapke ghar ke samne ho to 8 kone ka darpan, crystal ball ya disha suchak yantra ghar me lagaiye. Jis se negative energy jaygi aur aapko dhan ka bahut fayda hoga.
  4. Subha pooja karte samay roj niyam se shankh bajaye iski aavaaz se ghar me positive energy aaygi, vastu dosh door hoga aur ghar me paiso ki bahut barkat aaygi.
  5. Vastu shastra ke anusaar aap apne ghar ke hall me ya phir jaha bhi aap jyada baith’te hai vaha piche parvat ka chitra lagna chahiye. Esa karne se aapko business ya job me tarakki milegi, aapka confidence bhi badega aur positivity bhi aayegi.
  6. Aapko ek baat ka khas dhyan rakhna hai ki apne ghar ke uttar-purva me kabhi bhi kachra ikathha na hone de aur is side me kabhi koi bhari mashine na rakhe. Agar aap in baato ka dhyan nahi rakhte hai to ghar me vastu dosh hoga aur aapko tarakki me baadha aaygi.
  7. Agar aapke ghar ke saamne koi bada khambha, bada ped ya fir kai manzil ki building ho ye bhi vastu dosh ka karan ban sakta hai aur isse aapko paiso ki pareshani ho sakti hai, saath hi aapki health bhi bigad sakti hai. Is dosh ko door karne ke liye aap apne ghar ke samne lamp post laga dijiye ya phir ghar ke aage khushboo wale phulo ke paudhe laga dijiye.
  8. Vastu dosh ko door karne ke liye aap 9 din tak akhand ramayan ka paath karvaye, isse bhi vastu dosh door hoga.
ये भी पढ़े   फेंग सुई के अनुसार feng shui items कहाँ रखनी चाहिए - Feng Shui Tips

[vc_column_text]Ye saare tips follow kijiye to aapke vastu dosh ka bhi nivaran ho jayga aur kabhi aapke pass dhan ki kami nahi hogi.

Previous Post
तुलसी का पौधा कहां लगाएं, तुलसी का पौधा कब लगाएं
पौधे

वास्तु के अनुसार तुलसी का पौधा किस दिशा में लगाना चाहिए?

Next Post
vastu-tips-for-swimming-pool
मकान वास्तु

स्विमिंग पूल से संबंधित वस्तु टिप्स – swimming pool for home vaastu tips