[vc_column_text]इस पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें दुकान के लिए वास्तु टिप्स, दुकान में ग्राहक बढ़ाने के उपाय, पैसा कमाने के लिये फेंगशुई के टोटके, धन कमाने के उपाय, पैसा कमाने के वास्तु उपाय, दुकान में चाहिए बरकत तो अपनाइए ये वास्तु टिप्स [vc_column_text]Friends, aapne dekha hoga ki bahaut si shops or showrooms opening ke kuch time baad hi bahut famous ho jaati hai or usme customers ki line lagi rahti hai, jabki kuch shops esi bhi hoti hai jo kafi purani hone ke baad bhi jyada bikri nahi kar paati hai chahe unke products achhe or kam rate ke ho to bhi.
Esi bahut saari problems business me aati hai. Kabhi kisi ka business achhank se kam ho jata hai ya phir shop ko kai tarah se nuksaan hone lagta hai jaise kai baar bahut sara maal kharab ho jata hai.
In sab problems ki vajah shop ka vastu thik na hona bhi ho sakta hai to aaj hum aapko jo tips dene ja rahe hai unhe aap follow kijiye to aapki shop se vastu dosh bhi door hoga or iske saath hi shop me barkat aayegi or customers bhi badh jayenge. [vc_custom_heading text=”Shop(dukaan) ke liye vastu ke kuch easy tips” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″ google_fonts=”font_family:Abril%20Fatface%3Aregular”][vc_custom_heading text=”Kis shape ki dukaan shubh hoti hai or konsi nahi” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Baagh mukhi ya singha mukhi dukaan yani jis dukaan ke piche ka bhaag sankara or aage ka bhaag chauda ho use singha mukhi kehte hai aur dukaan ka yah aakaar bahut hi shubh hota hai.
Agar dukaan ki shape aaytakaar ya vargakaar hoti hai to usse dhan laabh hota hai. Iske alava gomukhi dukaan yani jis dukaan ke aage ka bhaag kam chauda ho or pichhe ka bhaag jyada chauda ho vah gaumukhi hoti hai. Esi dukaan laabh daayak nahin mani jati hai. [vc_custom_heading text=”Noth East direction me koi bhari chiz na rakhe” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu ke anusaar dukaan ke ishaan kon yani Noth East direction me koi bhari chiz nahi rakhni chahiye. Is jagah ko khali rakhe ya phir haliki chiz hi yaha rakhe or is jagah ko hamesha saaf rakhe. [vc_custom_heading text=”Dukaan ke saamne light ya phone ka khambha, ped ya sidhi na ho” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dukaan ke bilkul saamne light ka khambha ya phone ka khambha nahi hona chahiye aur koi ped ya sidhi bhe nahi honi chahiye.
Esa hone par dukaan ke malik ko aarthik sankat ka saamna karna pad sakta hai. [vc_custom_heading text=”Dukandaar or karmchari kis disha me baithe or kis me nahi” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dukaan ke maalik aur karmchari ek baat ka khaas dhyan rakhe ki jab ve dukaan me baithe to unka muh uttar ya purva disha me hona chahiye.
Isse dhan ka laabh hota hai or customer aur dukandaar ke beech achhe sambandh bante hai. Agar dukandaar ya karmchari pashchim ya dakshin disha ki or muh karke baithte hai to dhan ka nuksaan hota hai. [vc_custom_heading text=”Uttar ya purva me Laxmi ji or Ganesh ji ki murti rakhe” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dukaan ke uttar ya purva disha me Laxmi ji or Ganesh ji ki murti rakhne se business me fayda hota hai. Apne kuldevta ya kuldevi ki photo dukaan me lagana bhi shubh hota hai. [vc_custom_heading text=”“Shri Laxmi Sahastranaam“ ka rojana paath kare” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Agar aapko business me kisi bhi tarah ki pareshaani ya rukaavat aa rahi hai to rojana “Shri Laxmi Sahastranaam” ka paath kijiye, aapki pareshaani jaldi hi door ho jayegi. [vc_custom_heading text=”Dukaan ke locker me kuber yantra ya shri yantra rakhe” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Dukaan ki tijori ya locker me kuber yantra ya shri yantra jarur rakhe, isse aapko aarthik laabh hoga.
Ye bhi dhyan rahe ki aapka locker kabhi khali nahi rahna chahiye. Apne locker ya counter table par per rakh kar bilkul na baithe. [vc_custom_heading text=”Dukaan ka kachra idhar udhar ya sadak par na feke” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Jab aap apni dukaan saaf kare to kachra sadak par na dale or na hi is kachre ko kisi or dukaan ke aage dale kyonki esa karne se aapki barkat kam hoti hai.
Aap apni dukaan ke dakshin pashchim kone me ek dustbin rakhe or usi me kachra dale baad me ye kachra nagar nigam ke kuda dalne ki jagah par dalvaye. [vc_custom_heading text=”Paani ka patra or kitchen is disha me hona chahiye” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Apni dukaan me paani ka patra yani ghada, filter jo bhi ho use uttar purva disha me rakhna shubh hota hai.
Agar aapki dukaan me kitchen ya khana garm karne ka heater aadi kuch hai to vo dakshin purva kone me hona chahiye. [vc_column_text]Ye aasan tips follow karne se aapko dukaan me kafi laabh mil sakta hai.