उत्तर मुखी घर वास्तु योजना

Vastu Shastra in hindi for home map – वास्तुशास्त्र के अनुसार घर का नक्शा

[vc_column_text]इस पोस्ट को हिंदी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक करें स्विमिंग पूल से संबंधित वस्तु टिप्स, वास्तु शास्त्र के अनुसार घर का नक्शा, उत्तर पूर्व मुखी घर का वास्तु , दक्षिण मुखी घर का वास्तु, पश्चिम मुखी घर का वास्तु, वास्तु के अनुसार सीढ़ी, Vastu tips in Hindi for home construction [vc_column_text]Ghar ka nirman karwane se pahle vykti apne ghar ka naksha banwata hai.
Yah naksha vastu shastro ke anusar banaya jata hai jisse ghar me sukh shanti ka mahol bana rahe.
Ghar ka naksha banate samay ghar ka main gate, Kitchen, bathroom, jal ka sthaan, bhagwan ka sthaan, sone ka kamra aadi ka sthaan nirdharit kiya jata hai.
Chaliye jante hai vastu shastra ke anusar ghar ka naksha kaisa hona chahiye. [vc_custom_heading text=”Vastu ke anusar ghar ka naksha” font_container=”tag:h2|text_align:left|color:%23ff0000″ google_fonts=”font_family:Abril%20Fatface%3Aregular”][vc_custom_heading text=”Main gate ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ka naksha banwate samay vastu ka dhyan rakhna hoga. Vastu ke anusar ghar ka Main Gate hamesha Purv disha ki tarf hona Chaiye.
Purav Disha me main gate hone se ghar me samridhhi aati hai. Ghar ka naksha banwate samay dhyan rahe ke ghar ka main gate dakshin disha ki tarf nahi hona chaiye.
Dakshin mukhi main gate vale ghar me mushkile aati hai. Yadi kisi karan se ghar ka main gate dakshin disha me hai to aapko vastu dosh dur karne vale tariko ko karna padega. Dhyan rahe ghar ke aage kisi tarh ka ped nhi hona chahiye.
Main gate ke saamne khambha bhi nhi hona chahiye. Ghar ke saamne tiraya ya chorhaya nhi hona chahiye, yeh ghar me negative vichar lata hai. [vc_custom_heading text=”Mandir ka sthaan ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ka naksha banwate samay hamesha bhagwan ke mandir ke jagah pehle se rakh le, mandir kis disha me hona chahiye yah baat bhi dhyan me rakhe.
Mandir ke liye hamesha ishan kon hona chahiye yani ke purav ki disha. Mandir ke liye purav ki disha ko sabse yogy mana hai. [vc_custom_heading text=”Rasoi ghar” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ka naksha banwate samay ghar me rasoi ghar vastu ke anusar dakshin disha me banawana chahiye.
Vastu ke anusar mana gaya hai, Dakshin disha yani agni kon hota hai. Yeh Rasoi ke liye uttam hoti hai.
Rasoi ko hamesha Dakshin disha me banana hoga. Yadi kisi karan se yah dakshin disha me nhi ban pata hai to nakshe me paschim disha me bhi rakh sakte hai. [vc_custom_heading text=”Pani ka sthaan ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu ke anusar ghar ka naksha banwate samay jal devta ka sthaan bhi dena hoga. Jis tarah agni kon hota hai usi tarah jal kon bhi hota hai.
Vastu ke anusar bataya gaya hai ki pani ka yani ke jal ka sthaan uttar-purvi hona chahiye. Yadi naksha banvate hai to ghar ke nakshe me jal ke sthaan ke liye jal kon bhi rakhwa le. [vc_custom_heading text=”Ghar ki disha” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ka naksha banwate samay is baat ka pata kar le ke ghar konsi disha me banne vala hai.
Ghar ke disha vastu ke anusar purav, uttar, ya paschim disha me hoga to ghar me sukh shanti bani rahegi sath he sath dhan ka accha aagaman hota rahega.
Ghar ke naksha in teeno disha ko dhyan me rakh kar he banwaye. Vastu ke anusar ghar dakshin disha me nhi hona chahiye is baat ka dhyan rakh kar he ghar ka naksha banwana chahiye. [vc_custom_heading text=”Ghar ki siddhiya ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Vastu ke anusar ghar ka naksha banwate samay is baat ka hamesha dhyan rahe ki ghar ke siddhiyo ki disha bhi sahi disha me honi chahiye. Isliye vastu ke anusar ghar ki siddhiya vastu ke anusar uttar-purv se hoti hui dakshin disha ki taraf honi chahiye. [vc_custom_heading text=”Sone ka kamra ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Naksha banwate samay is baat ka dhyan rakhe ki aapke sone ke kamre ki disha konsi hogi.
Uske anusar aapko nakshe me aapke sone ka karma banwana hai. Vastu shastra ke anusar sone ka kamra paschim disha me hona chahiye.
Jab aap soye to aapka ser dakshin disha me rah sake. Mahmano ke liye kamra uttar disha me hona chahiye is baat ka dhyan rakhe. [vc_custom_heading text=”Bathroom ” font_container=”tag:h3|text_align:left|color:%23ff0000″][vc_column_text]Ghar ka naksha banwate samay bathroom ke liye bhi jagah di jati hai. Isliye nakshe me bathroom ke liye Dakshin purvi kon me jagah deni hogi. Yah kon bathroom ke liye sahi mana gaya hai.

ये भी पढ़े   पूजा करते समय मुहं किस दिशा में करें
Previous Post
तुलसी का पौधा कहां लगाएं, तुलसी का पौधा कब लगाएं
पौधे

वास्तु के अनुसार तुलसी का पौधा किस दिशा में लगाना चाहिए?

Next Post
vastu-tips-for-swimming-pool
मकान वास्तु

स्विमिंग पूल से संबंधित वस्तु टिप्स – swimming pool for home vaastu tips