Yah naksha vastu shastro ke anusar banaya jata hai jisse ghar me sukh shanti ka mahol bana rahe.
Ghar ka naksha banate samay ghar ka main gate, Kitchen, bathroom, jal ka sthaan, bhagwan ka sthaan, sone ka kamra aadi ka sthaan nirdharit kiya jata hai.
Chaliye jante hai vastu shastra ke anusar ghar ka naksha kaisa hona chahiye.
Vastu ke anusar ghar ka naksha
Main gate
Purav Disha me main gate hone se ghar me samridhhi aati hai. Ghar ka naksha banwate samay dhyan rahe ke ghar ka main gate dakshin disha ki tarf nahi hona chaiye.
Dakshin mukhi main gate vale ghar me mushkile aati hai. Yadi kisi karan se ghar ka main gate dakshin disha me hai to aapko vastu dosh dur karne vale tariko ko karna padega. Dhyan rahe ghar ke aage kisi tarh ka ped nhi hona chahiye.
Main gate ke saamne khambha bhi nhi hona chahiye. Ghar ke saamne tiraya ya chorhaya nhi hona chahiye, yeh ghar me negative vichar lata hai.
Mandir ka sthaan
Mandir ke liye hamesha ishan kon hona chahiye yani ke purav ki disha. Mandir ke liye purav ki disha ko sabse yogy mana hai.
Rasoi ghar
Vastu ke anusar mana gaya hai, Dakshin disha yani agni kon hota hai. Yeh Rasoi ke liye uttam hoti hai.
Rasoi ko hamesha Dakshin disha me banana hoga. Yadi kisi karan se yah dakshin disha me nhi ban pata hai to nakshe me paschim disha me bhi rakh sakte hai.
Pani ka sthaan
Vastu ke anusar bataya gaya hai ki pani ka yani ke jal ka sthaan uttar-purvi hona chahiye. Yadi naksha banvate hai to ghar ke nakshe me jal ke sthaan ke liye jal kon bhi rakhwa le.
Ghar ki disha
Ghar ke disha vastu ke anusar purav, uttar, ya paschim disha me hoga to ghar me sukh shanti bani rahegi sath he sath dhan ka accha aagaman hota rahega.
Ghar ke naksha in teeno disha ko dhyan me rakh kar he banwaye. Vastu ke anusar ghar dakshin disha me nhi hona chahiye is baat ka dhyan rakh kar he ghar ka naksha banwana chahiye.
Ghar ki siddhiya
Sone ka kamra
Uske anusar aapko nakshe me aapke sone ka karma banwana hai. Vastu shastra ke anusar sone ka kamra paschim disha me hona chahiye.
Jab aap soye to aapka ser dakshin disha me rah sake. Mahmano ke liye kamra uttar disha me hona chahiye is baat ka dhyan rakhe.