Vastu shastra me hame ghar ke baahri dhanche ke saath-saath aantarik dhanche ko kaise banaya jaana chahiye iska vistaar purvak vivaran diya gaya hai.
Sath hi yah bhi mana jata hai ki yadi vastu shastra ke anusar ghar kaa nirmaan na kiyaa jaye to kai prakaar ki samasyae utpann hoti rahti hain.
Jaise ki svasthay se sambandhit samasyan, durghatna, rog, gharelu ashanti, maanasik ashaanti, sambandhon kaa bigadnaa, sukh-samriddhi prbhavit hona, maan-sammaan tatha rojgaar prbhavit hona, sammaan tathaa vyavhaar sambandhit samasyaaon ka utpann hona, anek prkaar ke dukh-daridrtaa tathaa bimaariyon kaa hamaare sammukh ya hamaare ghar par bane rehna aadi prkaar ki samasyaan akaran hi manav jivan tatha manav sharir ko pareshaan rakhti hain.
Vartman mein bhi vastu shastra ka griah nirman me bahut adhik mahatv hota hai. Vastu shastra ko vartman bhasha-shaili ya vigyaan ki bhasha mein ham ise architecture ke naam se jaante hai.
Aaiye ab ham vaastu shaastr ke griah nirmaan sambandhi tathyo ko jaanne se pahle dishao ko jaanne kaa pryaas kare-
Vastu shastra me dishao ko 10 bhagon mein vibhakt kiyaa gayaa hai. purv disha, dakshin-purv disha, dakshin disha, dakshin-pashchim disha, pashchim disha, pashchim-uttar disha, uttar disha, uttar-purv disha tathaa ant mein aakash aur paataal ko bhi dishaaon mein hi shaamil kiyaa jata hai.
vastu shastra disha - वास्तुशास्त्र में दिशाओं का महत्व
East - Purv dishaa - पूर्व दिशा
Purv dishaa bachchon ke padhne ke lia uttam jagah maani jaati hai. Atah yaha par bachchon ke padhne ke liye kaksh ka nirmaan karaya jaanaa chahie.
Isi ke saath hi purv dishaa mein snanaghar (bathroom) bhi banaya jaa saktaa hai. Purv dishaa mein bhandar (store room) kaksh ka bhi nirmaan karaya jaa saktaa hai.
South East - Purv-dakshin dishaa - पूर्वा-दक्षिणा दिशा
Purv-dakshin disha sabhi kaaryon ke liye shubh maanaa jata hai. Parantu kuch karya jaise ki rasoi (jahaan par khana pakaate hai), garage (jahaan par gaadiyon ko park kiya jata hai), bijli se sambandhit upakaran jaise ki motar ityaadi ke rakhne kaa sthaan banaya jaana chaahiye.
South - Dakshin dishaa - दक्षिण दिशा
Dakshin dishaa mein griah svaami (honor of home) ka nivaas sthaan (bedroom) banaya jaana chahiye.
Ise ke saath hi anya prkaar ke shayan kakshon ka nirmaan is jagah par kiya jaa sakta hai. Dakshin dishaa mein bhandaaran kaksh (store room) banaya jana chahiye.
Vaastu ke anusaar kiye gaye in badlaavo ke kaaran sukh samriaddhi ki vriddhi hoti hai tathaa maan sammaan aur rojgaar se judi hui samasyaye bhi khatm ho jaati hain.
South West - Dakshin-pashchim dishaa - दक्षिण-पश्चिम दिशा
Is dishaa mein dosh ke kaaran durghatna, rog tathaa maanasik ashaanti jaisi samasyaao ka samna karna padta hai. Isi ke saath hi is dosh ke kaaran hamara aacharan tathaa vyavhaar bhi dushit hotaa hai.
Is dosh se bachne ke liye ham is sthaan par grah svaami ka shayanakaksh bana sakte hain tathaa sidhiyan aadi kaa bhi nirmaan kiya jaa saktaa hai.
West - Pashchim disha - पश्चिम दिशा
North West - Uttar-pashchim disha - उत्तर-पश्चिम दिशा
North - Uttar disha - उत्तर दिशा
North East - Uttar purv dishaa - उत्तर पुर्व दिशा
Uttar purv dishaa mein pujaa sthal yaa mandiron kaa nirmaan sabse uttam maanaa jaata hai.
Is dishaa mein yaa is sthaan par shauchalay kaa nirmaan nahin kiyaa jaana chahiye.
Nalkup-kuaa aadi jal srot ke saadhan is sthaan par banaye jaane se usme jal prachur matra me upalabdh rahtaa hai.
Upar diye gaye vaastu shastra ke hisaab se yadi aap apnaa ghar banvaate hain to dainik aur saamaajik avyavastha, jo hamaare man aur sharir ke saath-saath hamare parivarik aur saamaajik rishto ko bhi prbhaavit karte hain.
Unse aap kaafi had tak apne aap ko, apne parivaar ko tathaa sage-sambandhiyon ko bachaa sakte hain.